WHAT IS BLOGGING OR BLOG. / BLOGGING YA BLOG KYA HAI ?

Namskar dosto hamare website me aapka swagat hai. Dosto aaj ka topic kafi khas hai aur dilchasp hai. Aaj ke iss topic mein hum log personely baat karenge blogging ke bare mein ki blogging ki shuruaat hum log kaise kare aur successful blogger kaise bane toh dosto yah sab bate hum log iss article mein janenge toh please aap log humare sath jude rahe, toh chaliye dosto iss article mein aage badhte hai aur yah sab sari jankari hum log jan lete hai ki hume shuruaat mein kya karna hoga aur kis tarah se hum log ek perfect blogger bana sakte hai aur jyada se jyada kamai kar sakte hai toh chaliye yah sab sari bate hum log jan lete hai.
WHAT IS BLOGGING OR BLOG.  BLOGGING YA BLOG KYA HAI
WHAT IS BLOGGING OR BLOG.  BLOGGING YA BLOG KYA HAI 

Successful Blogger Banne Ke Liye Kya-Kya Karna Hoga-

Aap agar free mein blog banana chahate hai toh Google ka product blogger use kar sakte hai nahi to aap paise dekar wordpress par hi jaye kyuki usme bahut sari fetures mil jate hai. Successful blogger banne ke liye aapko sabse pahle yah pata hona chahiye ki aap me jo bhi blog banane ki chesta jagi hai toh aap ke blog ka kya topic hoga, aap uss par roj kya likhenge. Aap ko yeh chij pahle se pata hona chahiye aisa na ho ki aapne blog text releted banaya hai aur usme aap news publish kar rahe hai, toh log aapke blog par toh aayenge lekin jab unhe pata chalega ki yah toh kuch se kuch post karta rahta hai yah faltu blog hai iss par aana bekar hai, toh yahi sab karan hota hai dosto ki hamara blog duniya mein fail ho jate hai. Toh sabse pahle hame yah pata hona chahiye ki hamara blog jo main banana chah raha hu yah kis topic par hai aur usi topic par hi post likhe. Bahut sare log yahi galti karte hai ki wah kuch bhi apne blog mein post karte rahte hai.

Ab dusri chij hai dosto ki apne blog ka SEO jarur kare agar aap apne blog ka SEO kar lete hai to aapko jyada mehnat karne ki jarurat nahi hogi direct hi aapke blog par visitor aayenge aur aapko bhi achcha lagega aur post likhne mein madad milegi, toh yah bahut hi important chij hai SEO apne blog ka jarur kare.

Blogger par jab aap apna blog ko bana lete hai usko achchhi tarike se design kar lete hai toh aapko deside karna hoga ki aap isme kitna mehnat karenge. Aapke mehnat ke umar hi depend karta hai ki aap successful blogger ban sakte hai ya nahi, kam se kam ek post aapko har din karna hi karna hai. Agar aap ek post har din karte rahenge toh aap jarur kamyab ho jayenge agar aap apne blog par har din post likhte rahenge toh aapke visitor bhi badhte chale jayenge. Agar aap apne blog me important information ya kam ki jankari post karte hai toh aapko successful hone se koi nahi rok sakta. Aaj ki tarik mein log blog ya website banakar bahut jyada paise earn kar rahe hai. Agar aapke blog par 1000 se 2000 visitor bhi par day aajaye toh aap yakin maniye aap kam se kam 60 se 70 dollor ek din mein kam lenge. Blogger mein YOUTUBE se jyada ki earning hoti hai kyuki iska CPC bahut high hoti hai. Yahi karan hai ki aap blogging karna sabki hobby hai log blogging jyada pasand kar rahe hai aur paise jyada se jyada earn kar rahe hai.

Dosto blogging puri duniya mein faila hua mahsur platform hai. Agar aap bhi chahte hai blog banana toh aap blog aisa banaye jisme aapki ruchi ho yaa aapko uski jankari ho aise subject par hi blog taiyar kare aur 20 se 25 din usme khub mehnat kare tabhi aap ek successful blogger ban sakte hai.

Dosto iss article mein bas itna hi aage main step by step blogger ke bare mein bataunga kaise banate hai, kaise SEO karte hai, SITEMAP kaise karte hai, WEBMASTER kya hai. Meta tag kya hai aur bhi bahut kuchh hum aapko sikhayenge tab tak bane rahiye hamare sath dosto. THANKSYOU
Previous
Next Post »